teri rahmaton ke dayar mein tere baadalon ko pata nahin
tirī rahmatoñ ke dayār meñ tire bādaloñ ko patā nahīñ
abhī aag sard huī nahīñ abhī ik alaav jalā nahīñ
mirī bazm-e-dil to ujaḌ chukī mirā farsh-e-jāñ to simaT chukā
sabhī jā chuke mire ham-nashīñ magar ek shaḳhs gayā nahīñ
dar-o-bām sab ne sajā liye sabhī raushnī meñ nahā liye
mirī uñgliyāñ bhī jhulas ga.iiñ magar ik charāġh jalā nahīñ
ġham-e-zindagī tirī raah meñ shab-e-ārzū tirī chaah meñ
jo ujaḌ gayā vo basā nahīñ jo bichhaḌ gayā vo milā nahīñ
jo dil-o-nazar kā surūr thā mire paas rah ke bhī duur thā
vahī ek gulāb umiid kā mirī shāḳh-e-jāñ pe khilā nahīñ
pas-e-kārvāñ sar-e-rahguzar maiñ shikasta-pā huuñ to is liye
ki qadam to sab se milā liye mirā dil kisī se milā nahīñ
mirā ham-safar jo ajiib hai to ajīb-tar huuñ maiñ aap bhī
mujhe manziloñ kī ḳhabar nahīñ use rāstoñ kā pata nahīñ
teri rahmaton ke dayar mein tere baadalon ko pata nahin
abhi aag sard hui nahin abhi ek alaw jala nahin
meri bazm-e-dil to ujaD chuki mera farsh-e-jaan to simaT chuka
sabhi ja chuke mere ham-nashin magar ek shaKHs gaya nahin
dar-o-baam sab ne saja liye sabhi raushni mein naha liye
meri ungliyan bhi jhulas gain magar ek charagh jala nahin
gham-e-zindagi teri rah mein shab-e-arzu teri chah mein
jo ujaD gaya wo basa nahin jo bichhaD gaya wo mila nahin
jo dil-o-nazar ka surur tha mere pas rah ke bhi dur tha
wahi ek gulab umid ka meri shaKH-e-jaan pe khila nahin
pas-e-karwan sar-e-rahguzar main shikasta-pa hun to is liye
ki qadam to sab se mila liye mera dil kisi se mila nahin
mera ham-safar jo ajib hai to ajib-tar hun main aap bhi
mujhe manzilon ki KHabar nahin use raston ka pata nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.