teri sazishon se hi jugnu mare
tirī sāzishoñ se hī jugnū mare
mirī bad-duā hai ki ab tū mare
kare kaun phūloñ ke mausam kā zikr
agar shahr meñ aks-e-ḳhushbū mare
jiyūñ jis tarah koī darvesh ho
marūñ jis tarah koī sādhū mare
mujhe tū ne maarā hai jis haal meñ
usī haal meñ zindagī tū mare
ufuq par lahū lahr chhāne ke ba.ad
kisī roz zulmat kā jaadū mare
teri sazishon se hi jugnu mare
meri bad-dua hai ki ab tu mare
kare kaun phulon ke mausam ka zikr
agar shahr mein aks-e-KHushbu mare
jiyun jis tarah koi darwesh ho
marun jis tarah koi sadhu mare
mujhe tu ne mara hai jis haal mein
usi haal mein zindagi tu mare
ufuq par lahu lahr chhane ke baad
kisi roz zulmat ka jadu mare
- Book : Aiwan (Pg. 62)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.