teri shikast hai zahir tera zawal aTal
tirī shikast hai zāhir tirā zavāl aTal
yahī hai terā muqaddar ki apnī aag meñ jal
ḳhatā ki tū ne kī yāroñ ke qatl kī ḳhvāhish
sazā ki apne janāze ko ḳhud uThā kar chal
kisī tarah se miTā de ye naqsh-hā-e-yaqīñ
kisī tarah se bhī is shahr-e-ārzū se nikal
sitam ki TuuT rahā hai tilism-e-harf-o-navā
fuġhāñ ki bujhne lagī hai ḳhayāl kī mash.al
'elīnāpā' bhī nahīñ aur vo bevafā bhī nahīñ
sunā.eñ shahr meñ 'pāshī' kise ye taaza ġhazal
teri shikast hai zahir tera zawal aTal
yahi hai tera muqaddar ki apni aag mein jal
KHata ki tu ne ki yaron ke qatl ki KHwahish
saza ki apne janaze ko KHud uTha kar chal
kisi tarah se miTa de ye naqsh-ha-e-yaqin
kisi tarah se bhi is shahr-e-arzu se nikal
sitam ki TuT raha hai tilism-e-harf-o-nawa
fughan ki bujhne lagi hai KHayal ki mashal
'elinapa' bhi nahin aur wo bewafa bhi nahin
sunaen shahr mein 'pashi' kise ye taza ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.