teri surat mein wo jalwa dikha kar
tirī sūrat meñ vo jalva dikhā kar
rakhā hai mujh ko dīvāna banā kar
sadā-e-sarmadī apnā sunā kar
kiyā hushiyār dīvāna banā kar
kiyā behosh muusā ko bulā kar
tajallī tuur par apnī dikhā kar
baḌī mushkil se samjhā kar manā kar
use dil meñ rakhā mehmāñ banā kar
sabā lillah ye musht-e-ḳhāk merī
zarā le chal madīne tak uḌā kar
agar hogī madīne tak rasā.ī
karūñgā arz dard-e-dil sunā kar
mire maulā mire sarkār lillāh
rakho mujh ko madīne meñ bulā kar
karūñgā un kī zulf-e-ambarīñ meñ
dil-e-sad-chāk ko shāna banā kar
nazar aa jaa.eñ jab vo shāh-e-ḳhūbāñ
rakhūñgā apnī āñkhoñ meñ chhupā kar
uTheñge ham na hargiz tā-qayāmat
dar-e-mahbūb par aasan jamā kar
guzartī thī kisī aalam meñ achchhī
hue badnām is aalam meñ aa kar
nazar bhar kar abhī dekhā nahīñ thā
kiyā bismil mujhe āñkheñ dikhā kar
makāñ meñ mere jis din ā.eñge vo
bulā.ūñgā unheñ āñkheñ bichhā kar
na aanā thā tumheñ pahle hī bāhar
chhupe phir kis liye sūrat batā kar
alag ho kar tamāshā dekhte ho
hameñ duniyā ke jhagḌoñ meñ phañsā kar
muqābil apne tasvīr-e-mohammad
lagā rakkhī hai ā.īna banā kar
rahe daa.im salāmat dīn-o-īmāñ
vo but kahtā hai mujh se yuuñ duā kar
'qamar' apnī haqīqat ko samajh kar
use dekho ḳhudī apnī miTā kar
teri surat mein wo jalwa dikha kar
rakha hai mujh ko diwana bana kar
sada-e-sarmadi apna suna kar
kiya hushiyar diwana bana kar
kiya behosh musa ko bula kar
tajalli tur par apni dikha kar
baDi mushkil se samjha kar mana kar
use dil mein rakha mehman bana kar
saba lillah ye musht-e-KHak meri
zara le chal madine tak uDa kar
agar hogi madine tak rasai
karunga arz dard-e-dil suna kar
mere maula mere sarkar lillah
rakho mujh ko madine mein bula kar
karunga un ki zulf-e-ambarin mein
dil-e-sad-chaak ko shana bana kar
nazar aa jaen jab wo shah-e-KHuban
rakhunga apni aankhon mein chhupa kar
uThenge hum na hargiz ta-qayamat
dar-e-mahbub par aasan jama kar
guzarti thi kisi aalam mein achchhi
hue badnam is aalam mein aa kar
nazar bhar kar abhi dekha nahin tha
kiya bismil mujhe aankhen dikha kar
makan mein mere jis din aaenge wo
bulaunga unhen aankhen bichha kar
na aana tha tumhein pahle hi bahar
chhupe phir kis liye surat bata kar
alag ho kar tamasha dekhte ho
hamein duniya ke jhagDon mein phansa kar
muqabil apne taswir-e-mohammad
laga rakkhi hai aaina bana kar
rahe daim salamat din-o-iman
wo but kahta hai mujh se yun dua kar
'qamar' apni haqiqat ko samajh kar
use dekho KHudi apni miTa kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.