tirī tā.īd meñ duniyā khaḌī hai
mirī āvāz dab kar rah ga.ī hai
tujhe ham rāsta batlā rahe haiñ
baḌī dilchasp terī rahbarī hai
vahīñ par hai añdheroñ kī hukūmat
ujāloñ kī jahāñ rassa-kashī hai
vahāñ par chāñd hai koī yaqīnan
vahāñ par chāñdnī hī chāñdnī hai
teri taid mein duniya khaDi hai
meri aawaz dab kar rah gai hai
tujhe hum rasta batla rahe hain
baDi dilchasp teri rahbari hai
wahin par hai andheron ki hukumat
ujalon ki jahan rassa-kashi hai
wahan par chand hai koi yaqinan
wahan par chandni hi chandni hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.