teri talash ke maron ki nind puri ho
tirī talāsh ke māroñ kī niiñd puurī ho
zarā tū baiTh ki pairoñ kī niiñd puurī ho
visāl karke judā.ī kā naam tak na rahe
phir itnā jāgeñ ki barsoñ kī niiñd puurī ho
ḳhudā to chāhegā ḳhvāboñ meñ sab raheñ masrūf
ḳhudā to chāhegā bandoñ kī niiñd puurī ho
tirā bichhaḌnā ki bas jāgne kī duurī pe hai
to kaise ḳhauf ke māroñ kī niiñd puurī ho
ye roTī paanī kā jhagḌā hai aur logoñ kā
maiñ chāhtā huuñ ki logoñ kī niiñd puurī ho
usī kī marzī ki kitnoñ kā chaukīdār rahe
usī kī marzī ki jitnoñ kī niiñd puurī ho
jo ek jaage to donoñ ko iztirāb rahe
jo ek so.e to donoñ kī niiñd puurī ho
teri talash ke maron ki nind puri ho
zara tu baiTh ki pairon ki nind puri ho
visal karke judai ka nam tak na rahe
phir itna jagen ki barson ki nind puri ho
KHuda to chahega KHwabon mein sab rahen masruf
KHuda to chahega bandon ki nind puri ho
tera bichhaDna ki bas jagne ki duri pe hai
to kaise KHauf ke maron ki nind puri ho
ye roTi pani ka jhagDa hai aur logon ka
main chahta hun ki logon ki nind puri ho
usi ki marzi ki kitnon ka chaukidar rahe
usi ki marzi ki jitnon ki nind puri ho
jo ek jage to donon ko iztirab rahe
jo ek soe to donon ki nind puri ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.