teri talash ki miThi kasak se lutf liya
teri talash ki miThi kasak se lutf liya
Syed Zamin Abbas Kazmi
MORE BYSyed Zamin Abbas Kazmi
tirī talāsh kī mīThī kasak se lutf liyā
yaqīn toḌne vaale ne shak se lutf liyā
so maañd paḌte hue husn ko kiyā taslīm
ki āftāb kī dhundlī chamak se lutf liyā
tire nafas kī harārat huī nazar-andāz
tire libās kī bhīnī mahak se lutf liyā
tamām umr tire dar pe hī paḌe rahe haiñ
tamām umr tire hī namak se lutf liyā
vo intizār thā us kā ki dekhte hī use
zarā qarīb kiyā puure haq se lutf liyā
teri talash ki miThi kasak se lutf liya
yaqin toDne wale ne shak se lutf liya
so mand paDte hue husn ko kiya taslim
ki aaftab ki dhundli chamak se lutf liya
tere nafas ki hararat hui nazar-andaz
tere libas ki bhini mahak se lutf liya
tamam umr tere dar pe hi paDe rahe hain
tamam umr tere hi namak se lutf liya
wo intizar tha us ka ki dekhte hi use
zara qarib kiya pure haq se lutf liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.