teri talash mein jis waqt hum nikalte hain
tirī talāsh meñ jis vaqt ham nikalte haiñ
qadam bhī chalte haiñ naqsh-e-qadam bhī chalte haiñ
jo tund-o-tez havāoñ kā ruḳh badalte haiñ
jahāñ meñ sirf unhīñ ke charāġh jalte haiñ
isī liye mire armāñ nahīñ nikalte haiñ
ki tez dhuup meñ chalne se paañv jalte haiñ
sū-e-haram hī muḌeñ ham ye kyā zarūrī hai
tirī galī se ka.ī rāste nikalte haiñ
tumhārī sāzish-e-paiham ko maat de de kar
vo ek ham haiñ jo har baar bach nikalte haiñ
ham un ko DhūñDne nikle haiñ dekhiye kyā ho
ki jo nuqūsh-e-kaf-e-pā miTā ke chalte haiñ
uThā ke dosh pe 'aḳhtar' mohabbatoñ kī salīb
ham aaj husn ke bāzār meñ nikalte haiñ
teri talash mein jis waqt hum nikalte hain
qadam bhi chalte hain naqsh-e-qadam bhi chalte hain
jo tund-o-tez hawaon ka ruKH badalte hain
jahan mein sirf unhin ke charagh jalte hain
isi liye mere arman nahin nikalte hain
ki tez dhup mein chalne se panw jalte hain
su-e-haram hi muDen hum ye kya zaruri hai
teri gali se kai raste nikalte hain
tumhaari sazish-e-paiham ko mat de de kar
wo ek hum hain jo har bar bach nikalte hain
hum un ko DhunDne nikle hain dekhiye kya ho
ki jo nuqush-e-kaf-e-pa miTa ke chalte hain
uTha ke dosh pe 'aKHtar' mohabbaton ki salib
hum aaj husn ke bazar mein nikalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.