teri talash mein jo KHud ko bhul aae the
tirī talāsh meñ jo ḳhud ko bhuul aa.e the
patā vo apnā kabhī DhūñDne na paa.e the
kise ḳhabar thī ki phūloñ meñ bhī hunar hai vahī
kis ehtiyāt se kāñToñ se bach ke aa.e the
vo be-hisī kā thā 'ālam zarā ḳhabar na huī
ki raushnī thī sar-e-rahguzar ki saa.e the
kināre duur bahut duur the tū majbūran
samundaroñ meñ hī logoñ ne ghar basā.e the
har ek buuñd ka.ī bijliyoñ kī hāmil thī
shadīd barkhā ne bastī ke ghar jalā.e the
ye kaise bojh chale aa.e phir se palkoñ par
ki ik zamāne pe ham aaj muskurā.e the
teri talash mein jo KHud ko bhul aae the
pata wo apna kabhi DhunDne na pae the
kise KHabar thi ki phulon mein bhi hunar hai wahi
kis ehtiyat se kanTon se bach ke aae the
wo be-hisi ka tha 'alam zara KHabar na hui
ki raushni thi sar-e-rahguzar ki sae the
kinare dur bahut dur the tu majburan
samundaron mein hi logon ne ghar basae the
har ek bund kai bijliyon ki hamil thi
shadid barkha ne basti ke ghar jalae the
ye kaise bojh chale aae phir se palkon par
ki ek zamane pe hum aaj muskurae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.