teri talash ne rakha hai dar-ba-dar mujhko
tirī talāsh ne rakhā hai dar-ba-dar mujh ko
tire sivā nahīñ aatā koī nazar mujh ko
maiñ Duub jaatā huuñ jab bhī tire tasavvur meñ
jahāñ kī phir nahīñ rahtī hai kuchh ḳhabar mujh ko
tū ham-qadam thā mirā zindagī kī rāhoñ meñ
kaThin lagā hī nahīñ thā kabhī safar mujh ko
nazar uThe hai jidhar bhī dayār-e-ulfat meñ
tirā hī jalva nazar aa.e hai udhar mujh ko
zamāñ-shanāsī to kuchh haisiyat nahīñ rakhtī
ki apne ghar kī nahīñ jab koī ḳhabar mujh ko
chamaktī dhuup meñ sab ke liye hai sāya-fagan
bashar se baḌh ke lage mehrbāñ shajar mujh ko
kahīñ bhī DhūñDe se miltā nahīñ surāġh koī
lage hai bhūlī huī dāstāñ bashar mujh ko
ki pattharoñ ke makāñ chāhtā nahīñ 'anvār'
mohabbatoñ se bharī ret kā de ghar mujh ko
teri talash ne rakha hai dar-ba-dar mujh ko
tere siwa nahin aata koi nazar mujh ko
main Dub jata hun jab bhi tere tasawwur mein
jahan ki phir nahin rahti hai kuchh KHabar mujh ko
tu ham-qadam tha mera zindagi ki rahon mein
kaThin laga hi nahin tha kabhi safar mujh ko
nazar uThe hai jidhar bhi dayar-e-ulfat mein
tera hi jalwa nazar aae hai udhar mujh ko
zaman-shanasi to kuchh haisiyat nahin rakhti
ki apne ghar ki nahin jab koi KHabar mujh ko
chamakti dhup mein sab ke liye hai saya-fagan
bashar se baDh ke lage mehrban shajar mujh ko
kahin bhi DhunDe se milta nahin suragh koi
lage hai bhuli hui dastan bashar mujh ko
ki pattharon ke makan chahta nahin 'anwar'
mohabbaton se bhari ret ka de ghar mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.