teri talash se mujhko kabhi mafar na mile
tirī talāsh se mujh ko kabhī mafar na mile
maiñ chāhtā huuñ mujhe terā sang-e-dar na mile
nafas nafas to mile vo nazar nazar na mile
vo umr bhar bhī mile aur umr bhar na mile
rulā.e jā ġham-e-furqat ba-shān-e-ḳhuddārī
vo haal pūchhne aa.eñ to aañkh tar na mile
hai dard-e-ishq hī dar-asl zindagī merī
ḳhudā kare mujhe ġham-ḳhvār-o-chārāgar na mile
hameñ tahayyur-e-jalva se ye huā mālūm
vahīñ vahīñ vo mile vo jidhar jidhar na mile
kisī ke zaḳhm unheñ dekhne kī taab nahīñ
ilāhī un ko mirī vus.at-e-nazar na mile
mire yaqīn ne kī merī rahbarī 'rif.at'
jo gumrahān-e-safar the vo rāhbar na mile
teri talash se mujh ko kabhi mafar na mile
main chahta hun mujhe tera sang-e-dar na mile
nafas nafas to mile wo nazar nazar na mile
wo umr bhar bhi mile aur umr bhar na mile
rulae ja gham-e-furqat ba-shan-e-KHuddari
wo haal puchhne aaen to aankh tar na mile
hai dard-e-ishq hi dar-asl zindagi meri
KHuda kare mujhe gham-KHwar-o-chaaragar na mile
hamein tahayyur-e-jalwa se ye hua malum
wahin wahin wo mile wo jidhar jidhar na mile
kisi ke zaKHm unhen dekhne ki tab nahin
ilahi un ko meri wusat-e-nazar na mile
mere yaqin ne ki meri rahbari 'rifat'
jo gumrahan-e-safar the wo rahbar na mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.