teri talab mein yahan tak KHarab haal hua
tirī talab meñ yahāñ tak ḳharāb haal huā
ki maiñ jahān-e-mohabbat meñ ik misāl huā
mire qarīb se aksar vo is tarah guzrā
nigāh bhar ke use dekhnā muhāl huā
vo log jin kī rifāqat kabhī na raas aa.ī
hue jo duur to dil ko bahut malāl huā
mujhe ḳhabar hai ki vo peshtar na thā aisā
mirī vafā se jafā kā use ḳhayāl huā
dukhoñ se apnī tabī.at thī kis qadar bojhal
baras ga.iiñ ye ghaTā.eñ to jī bahāl huā
tavīl the jo vahī fāsle simaT se ga.e
mirā sharīk-e-safar jab tirā ḳhayāl huā
guzarne vāloñ ke qadmoñ se pā.emāl huā
maiñ ek naqsh-e-sar-e-rah-guzār thā 'ḳhāvar'
guzarne vāloñ ke qadmoñ se pā.emāl huā
teri talab mein yahan tak KHarab haal hua
ki main jahan-e-mohabbat mein ek misal hua
mere qarib se aksar wo is tarah guzra
nigah bhar ke use dekhna muhaal hua
wo log jin ki rifaqat kabhi na ras aai
hue jo dur to dil ko bahut malal hua
mujhe KHabar hai ki wo peshtar na tha aisa
meri wafa se jafa ka use KHayal hua
dukhon se apni tabiat thi kis qadar bojhal
baras gain ye ghaTaen to ji bahaal hua
tawil the jo wahi fasle simaT se gae
mera sharik-e-safar jab tera KHayal hua
guzarne walon ke qadmon se paemal hua
main ek naqsh-e-sar-e-rah-guzar tha 'KHawar'
guzarne walon ke qadmon se paemal hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.