tirī taraf se dil ai jān-e-jāñ uThā na sake
bahut za.iif the bār-e-garāñ uThā na sake
hazār baar bahār aa.ī lekin ai sayyād
nigāh ham taraf-e-bostāñ uThā na sake
asīr-e-zulf jo marte haiñ to vo kahte haiñ
zarā bhī sadma-e-qaid-e-girāñ uThā na sake
sunīñ jo yaar kī bāteñ ġhash aa gayā ham ko
ye nā-tavāñ the ki lutf-e-bayāñ uThā na sake
teri taraf se dil ai jaan-e-jaan uTha na sake
bahut zaif the bar-e-garan uTha na sake
hazar bar bahaar aai lekin ai sayyaad
nigah hum taraf-e-bostan uTha na sake
asir-e-zulf jo marte hain to wo kahte hain
zara bhi sadma-e-qaid-e-giran uTha na sake
sunin jo yar ki baaten ghash aa gaya hum ko
ye na-tawan the ki lutf-e-bayan uTha na sake
Source :
- Book : Noquush (Pg. B-286 E-302 )
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.