teri thaki hui aankhon mein KHwab tha ki nahin
tirī thakī huī āñkhoñ meñ ḳhvāb thā ki nahīñ
mire savāl kā koī javāb thā ki nahīñ
uThā ke sirf babūloñ ke ḳhaar le aa.e
chaman chaman kahīñ taaza gulāb thā ki nahīñ
baḌe sukūñ se rahe mom ke badan vaale
tumhārā shahr tah-e-āftāb thā ki nahīñ
har ek shaḳhs vahāñ gin rahā thā lahroñ ko
guzarte lamhoñ kā koī hisāb thā ki nahīñ
sarāb tishna-labī dhuup ābla-pā.ī
ḳhayāl pichhle safar kā 'azāb thā ki nahīñ
har ek samt udāsī kā rañg thā 'shāhid'
vo jalva-sāz kabhī be-hijāb thā ki nahīñ
teri thaki hui aankhon mein KHwab tha ki nahin
mere sawal ka koi jawab tha ki nahin
uTha ke sirf babulon ke KHar le aae
chaman chaman kahin taza gulab tha ki nahin
baDe sukun se rahe mom ke badan wale
tumhaara shahr tah-e-aftab tha ki nahin
har ek shaKHs wahan gin raha tha lahron ko
guzarte lamhon ka koi hisab tha ki nahin
sarab tishna-labi dhup aabla-pai
KHayal pichhle safar ka 'azab tha ki nahin
har ek samt udasi ka rang tha 'shahid'
wo jalwa-saz kabhi be-hijab tha ki nahin
- Book : Mausam Mausam Roop (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.