teri yaad hi meri ham-nafas meri umr bhar ka hisab hai
teri yaad hi meri ham-nafas meri umr bhar ka hisab hai
Saeed Ahmad Saeed Kadwi
MORE BYSaeed Ahmad Saeed Kadwi
tirī yaad hī mirī ham-nafas mirī umr bhar kā hisāb hai
jo bigaḌ ga.ī to ajīb-tar jo sañvar ga.ī to kitāb hai
vahī kāvisheñ vahī justujū vahī shohrateñ vahī rang-o-bū
mire shauq-e-ḳhāna-ḳharāb kā na savāl hai na javāb hai
tire ishq se maiñ sañvar gayā tujhe bhuul kar maiñ rahā na kuchh
tujhe chāhnā to hai zindagī tujhe bhūlnā to azaab hai
jo falak ko chhūne chale to ham zamīñ kah uThī ki ai mohtaram
ye bulandī terī to ḳhvāb hai ye uḌaan terī sarāb hai
tirā har qadam 'sa.īd' imtihān tirā har amal tirā rahnumā
tire naqsh-e-pā ke hisār meñ tirī manziloñ kā hisāb hai
teri yaad hi meri ham-nafas meri umr bhar ka hisab hai
jo bigaD gai to ajib-tar jo sanwar gai to kitab hai
wahi kawishen wahi justuju wahi shohraten wahi rang-o-bu
mere shauq-e-KHana-KHarab ka na sawal hai na jawab hai
tere ishq se main sanwar gaya tujhe bhul kar main raha na kuchh
tujhe chahna to hai zindagi tujhe bhulna to azab hai
jo falak ko chhune chale to hum zamin kah uThi ki ai mohtaram
ye bulandi teri to KHwab hai ye uDan teri sarab hai
tera har qadam 'said' imtihan tera har amal tera rahnuma
tere naqsh-e-pa ke hisar mein teri manzilon ka hisab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.