teri yaad jo mere dil mein hai bas usi ki jalwagari rahi
teri yaad jo mere dil mein hai bas usi ki jalwagari rahi
Sufia Anjum Taj
MORE BYSufia Anjum Taj
tirī yaad jo mere dil meñ hai bas usī kī jalvagarī rahī
mirā ġham bhī tāza-ba-tāza hai mirī shāḳh-e-fan bhī harī rahī
maiñ ne apne parda-e-sher meñ tujhe is hunar se chhupā liyā
ki ġhazal kahī to har ik ġhazal tirī ḳhushbuoñ se bharī rahī
yahī zindagī mirī zindagī yahī zindagī mirī maut hai
tirī yaad ban ga.ī ik chhurī jo mire gale pe dharī rahī
tujhe shauq mere kalām se tujhe pyaar mere hunar se thā
tujhe apnā maiñ na banā sakī yahī merī be-hunarī rahī
maiñ farefta tere naaz par maiñ nisār tere niyāz par
tirī har adā meñ fareb thā mujhe jis kī be-ḳhabarī rahī
kabhī 'anjum' vo bhī din aa ga.e ki ḳhushī kī bazm sajā.eñge
ye tamannā jo mere dil meñ thī vo yūñhī dharī kī dharī rahī
teri yaad jo mere dil mein hai bas usi ki jalwagari rahi
mera gham bhi taza-ba-taza hai meri shaKH-e-fan bhi hari rahi
main ne apne parda-e-sher mein tujhe is hunar se chhupa liya
ki ghazal kahi to har ek ghazal teri KHushbuon se bhari rahi
yahi zindagi meri zindagi yahi zindagi meri maut hai
teri yaad ban gai ek chhuri jo mere gale pe dhari rahi
tujhe shauq mere kalam se tujhe pyar mere hunar se tha
tujhe apna main na bana saki yahi meri be-hunari rahi
main farefta tere naz par main nisar tere niyaz par
teri har ada mein fareb tha mujhe jis ki be-KHabari rahi
kabhi 'anjum' wo bhi din aa gae ki KHushi ki bazm sajaenge
ye tamanna jo mere dil mein thi wo yunhi dhari ki dhari rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.