teri yaad kitni hasin thi dabe panw dil mein utar gai
tirī yaad kitnī hasīn thī dabe paañv dil meñ utar ga.ī
ye lagā ki jaise nafas nafas koī chāñdnī sī bikhar ga.ī
mire ham-safar mire rāhbar mire saath saath na chal sake
baḌī duur tak mire paañv kī jo ga.ī to gard-e-safar ga.ī
tirī yaad thī mirī zindagī mire dil se duur na ho sakī
kabhī zaḳhm ban ke mahak uThī kabhī choT ban ke ubhar ga.ī
ġham-e-zindagī se jo TuuT ke tirā pyaar jab bhī jagā liyā
mirī shām-e-ġham bhī sañvar ga.ī mirī sub.h-e-ġham bhī nikhar ga.ī
teri yaad kitni hasin thi dabe panw dil mein utar gai
ye laga ki jaise nafas nafas koi chandni si bikhar gai
mere ham-safar mere rahbar mere sath sath na chal sake
baDi dur tak mere panw ki jo gai to gard-e-safar gai
teri yaad thi meri zindagi mere dil se dur na ho saki
kabhi zaKHm ban ke mahak uThi kabhi choT ban ke ubhar gai
gham-e-zindagi se jo TuT ke tera pyar jab bhi jaga liya
meri sham-e-gham bhi sanwar gai meri subh-e-gham bhi nikhar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.