teri yaadon ke charaghon mein ye jalti hui raat
teri yaadon ke charaghon mein ye jalti hui raat
Yahya Khan Yusuf Zai
MORE BYYahya Khan Yusuf Zai
tirī yādoñ ke charāġhoñ meñ ye jaltī huī raat
mirī āñkhoñ se chhalaktī rahī Dhaltī huī raat
sam-e-imroz se maarā huā haarā huā din
kisī fardā kī umīdoñ pe bahaltī huī raat
kabhī āñkhoñ meñ ruke koī guzartā huā pal
kabhī sāñsoñ meñ aTak jaatī hai chaltī huī raat
na Talā hai kabhī zaḳhmoñ meñ sulagtā huā din
na thamī hai kabhī ashkoñ meñ ubaltī huī raat
mire hāthoñ kī lakīroñ meñ mashaqqat din kī
mire ḳhvāboñ ke muqaddar meñ hai Dhaltī huī raat
teri yaadon ke charaghon mein ye jalti hui raat
meri aankhon se chhalakti rahi Dhalti hui raat
sam-e-imroz se mara hua haara hua din
kisi farda ki umidon pe bahalti hui raat
kabhi aankhon mein ruke koi guzarta hua pal
kabhi sanson mein aTak jati hai chalti hui raat
na Tala hai kabhi zaKHmon mein sulagta hua din
na thami hai kabhi ashkon mein ubalti hui raat
mere hathon ki lakiron mein mashaqqat din ki
mere KHwabon ke muqaddar mein hai Dhalti hui raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.