teri yaadon mein hi gum-sum rahun ab ye nahin hoga
teri yaadon mein hi gum-sum rahun ab ye nahin hoga
Ashraf Raza Qadri
MORE BYAshraf Raza Qadri
tirī yādoñ meñ hī gum-sum rahūñ ab ye nahīñ hogā
tire hī husn ke qisse likhūñ ab ye nahīñ hogā
anā ko rauñd kar ḳhuddārī ko pāmāl kar Dālūñ
kisī bhī husn par maiñ mar-miTūñ ab ye nahīñ hogā
mire bhī muntazir haiñ aish-o-ārā.ish zamāne meñ
tire hī hijr meñ martā rahūñ ab ye nahīñ hogā
vo jis ne chhoḌ kar mujh ko kisī kā haath thāmā thā
use apnā.ūñ aur us se milūñ ab ye nahīñ hogā
bharam jis ne mohabbat kā sar-e-bāzār toḌā thā
maiñ us ke vāste aa.heñ bharūñ ab ye nahīñ hogā
zarā bhī qadr jis ne kī nahīñ merī mohabbat kī
maiñ us kī yaad meñ dar-dar phirūñ ab ye nahīñ hogā
ai 'ashraf' jo mirī duniyā se kaafī duur jā baiThā
maiñ aise shaḳhs ko apnā kahūñ ab ye nahīñ hogā
teri yaadon mein hi gum-sum rahun ab ye nahin hoga
tere hi husn ke qisse likhun ab ye nahin hoga
ana ko raund kar KHuddari ko pamal kar Dalun
kisi bhi husn par main mar-miTun ab ye nahin hoga
mere bhi muntazir hain aish-o-araish zamane mein
tere hi hijr mein marta rahun ab ye nahin hoga
wo jis ne chhoD kar mujh ko kisi ka hath thama tha
use apnaun aur us se milun ab ye nahin hoga
bharam jis ne mohabbat ka sar-e-bazar toDa tha
main us ke waste aahen bharun ab ye nahin hoga
zara bhi qadr jis ne ki nahin meri mohabbat ki
main us ki yaad mein dar-dar phirun ab ye nahin hoga
ai 'ashraf' jo meri duniya se kafi dur ja baiTha
main aise shaKHs ko apna kahun ab ye nahin hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.