teri yaadon se dil farozan karenge
tirī yādoñ se dil farozāñ kareñge
phir is ġham-kade meñ charāġhāñ kareñge
zarā hazrat-e-dil kī jur.at to dekho
ye nazzāra-e-husn-e-jāñ kareñge
zamāna jo ātish-fishāñ hai to kyā ġham
ham ātish-kade ko gulistāñ kareñge
chale to zarā dūr-e-jām-e-mohabbat
farishte bhī taqlīd-e-insāñ kareñge
salāmat-ravī jurm samjhegī duniyā
kisī se agar zikr-e-tūfāñ kareñge
jo āsāniyoñ ko bhī mushkil banā deñ
vo kyā merī mushkil ko āsāñ kareñge
teri yaadon se dil farozan karenge
phir is gham-kade mein charaghan karenge
zara hazrat-e-dil ki jurat to dekho
ye nazzara-e-husn-e-jaan karenge
zamana jo aatish-fishan hai to kya gham
hum aatish-kade ko gulistan karenge
chale to zara dur-e-jam-e-mohabbat
farishte bhi taqlid-e-insan karenge
salamat-rawi jurm samjhegi duniya
kisi se agar zikr-e-tufan karenge
jo aasaniyon ko bhi mushkil bana den
wo kya meri mushkil ko aasan karenge
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 221)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.