teri yaadon se gar ubar jaen
tirī yādoñ se gar ubar jaa.eñ
'ain mumkin hai phir ki mar jaa.eñ
yā ḳhudā rāstā na manzil hai
kuchh to batlā de ham kidhar jaa.eñ
toḌ kar bandisheñ rivājoñ kī
ab chalo had se ham guzar jaa.eñ
raat āvārgī kī saḌkoñ par
ho ga.ī sub.h ab to ghar jaa.eñ
'ishq vaalo do mashvara mujh ko
ġham ke maare hue kidhar jaa.eñ
jism phir biich meñ na aa.egā
ham agar ruuh meñ utar jaa.eñ
tishnagī hai magar suno jaanā
pyaas itnī nahīñ ki mar jaa.eñ
dard itnā hai merī āñkhoñ meñ
ā.ineñ TuuT kar bikhar jaa.eñ
teri yaadon se gar ubar jaen
'ain mumkin hai phir ki mar jaen
ya KHuda rasta na manzil hai
kuchh to batla de hum kidhar jaen
toD kar bandishen riwajon ki
ab chalo had se hum guzar jaen
raat aawargi ki saDkon par
ho gai subh ab to ghar jaen
'ishq walo do mashwara mujh ko
gham ke mare hue kidhar jaen
jism phir bich mein na aaega
hum agar ruh mein utar jaen
tishnagi hai magar suno jaana
pyas itni nahin ki mar jaen
dard itna hai meri aankhon mein
aainen TuT kar bikhar jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.