teri yalghaar se duniya bhi dahal sakti hai
tirī yalġhār se duniyā bhī dahal saktī hai
tū badal jaa.e to har chiiz badal saktī hai
ek ifrīt ki sho.aloñ ko nigal saktī hai
band hai nyaam meñ talvār nikal saktī hai
tere a.amāl zamāne meñ haiñ aise pyāre
jin se aslāf kī pagḌī bhī uchhal saktī hai
dīn-e-haq ke liye nāmūs-e-sharī.at ke liye
ye vo millat hai ki sho.aloñ meñ bhī chal saktī hai
askarī qaum hai fitrat meñ jadal baaqī hai
is ko chheḌo na ye andāz badal saktī hai
apnī tārīḳh ke aurāq khañgālo 'sānī'
ab kahāñ qaum khilaunoñ se bahal saktī hai
teri yalghaar se duniya bhi dahal sakti hai
tu badal jae to har chiz badal sakti hai
ek ifrit ki shoalon ko nigal sakti hai
band hai nyam mein talwar nikal sakti hai
tere aamal zamane mein hain aise pyare
jin se aslaf ki pagDi bhi uchhal sakti hai
din-e-haq ke liye namus-e-shariat ke liye
ye wo millat hai ki shoalon mein bhi chal sakti hai
askari qaum hai fitrat mein jadal baqi hai
is ko chheDo na ye andaz badal sakti hai
apni tariKH ke auraq khangalo 'sani'
ab kahan qaum khilaunon se bahal sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.