teri zulf zunnar ka tar hai
tirī zulf zunnār kā taar hai
ki jis taar meñ dil giraftār hai
karishme ke lashkar meñ vo shāh-e-husn
saf-e-ḳhūb-rūyāñ kā sardār hai
talattuf siiñ pūchhegā kab dard-e-dil
sitam-gar hai sarkash hai ayyār hai
jise dil-ḳharāshī nahīñ ishq kī
tarīq-e-mohabbat meñ be-kār hai
sajan lutf kar nargis-e-bāġh par
tirī chashm-e-mai-gūñ kā bīmār hai
shifā de mujhe marham-e-vasl suuñ
jigar par mire hijr kā vaar hai
shab-e-hijr meñ gul-badan ke 'sirāj'
nazar meñ mirī sham.a jiyūñ ḳhaar hai
teri zulf zunnar ka tar hai
ki jis tar mein dil giraftar hai
karishme ke lashkar mein wo shah-e-husn
saf-e-KHub-ruyan ka sardar hai
talattuf sin puchhega kab dard-e-dil
sitam-gar hai sarkash hai ayyar hai
jise dil-KHarashi nahin ishq ki
tariq-e-mohabbat mein be-kar hai
sajan lutf kar nargis-e-bagh par
teri chashm-e-mai-gun ka bimar hai
shifa de mujhe marham-e-wasl sun
jigar par mere hijr ka war hai
shab-e-hijr mein gul-badan ke 'siraj'
nazar mein meri shama jiyun KHar hai
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 670)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.