tishna-kaami mein riayat nahin karne wale
tishna-kāmī meñ ri'āyat nahīñ karne vaale
ham amānat meñ ḳhayānat nahīñ karne vaale
raushnī ham pe 'ināyat nahīñ karne vaalī
ham charāġhoñ se shikāyat nahīñ karne vaale
ham se ye kār-e-musāfat nahīñ hone vaalā
zindagī terī qayādat nahīñ karne vaale
ham se ayyām kī gardish nahīñ dekhī jaatī
ḳhair ham is kī vazāhat nahīñ karne vaale
hasb-e-maqdūr hameñ ḳhaak uḌānī hai so ham
jism-e-ḳhasta kī marammat nahīñ karne vaale
phir vahī ḳhvāb vahī zid nahīñ 'āqib-sābir'
ham usūloñ se baġhāvat nahīñ karne vaale
tishna-kaami mein ri'ayat nahin karne wale
hum amanat mein KHayanat nahin karne wale
raushni hum pe 'inayat nahin karne wali
hum charaghon se shikayat nahin karne wale
hum se ye kar-e-musafat nahin hone wala
zindagi teri qayaadat nahin karne wale
hum se ayyam ki gardish nahin dekhi jati
KHair hum is ki wazahat nahin karne wale
hasb-e-maqdur hamein KHak uDani hai so hum
jism-e-KHasta ki marammat nahin karne wale
phir wahi KHwab wahi zid nahin 'aqib-sabir'
hum usulon se baghawat nahin karne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.