tishna-lab dasht mein yun log satae gae the
tishna-lab dasht meñ yuuñ log satā.e ga.e the
maqtal-e-ishq meñ be-vaqt hī laa.e ga.e the
hasrat-e-dast-e-talab khulne kī sūrat na banī
āḳhirī saf meñ bahut duur biThā.e ga.e the
shiddat-e-vasl kī hiddat meñ jhulaste hī rahe
us kī jānib jo parinde bhī uḌaa.e ga.e the
takte rahte the kināre se musalsal donoñ
jaane dariyā meñ bhī kyā vaqt bahā.e ga.e the
ek to gard-e-safar aur siyah raat kā rang
rāste bhuul ga.e jo bhī dikhā.e ga.e the
dāstāñ kahte haiñ sarhad ke sabhī būḌhe shajar
vo jo ajdād ke hāthoñ se lagā.e ga.e the
tishna-lab dasht mein yun log satae gae the
maqtal-e-ishq mein be-waqt hi lae gae the
hasrat-e-dast-e-talab khulne ki surat na bani
aaKHiri saf mein bahut dur biThae gae the
shiddat-e-wasl ki hiddat mein jhulaste hi rahe
us ki jaanib jo parinde bhi uDae gae the
takte rahte the kinare se musalsal donon
jaane dariya mein bhi kya waqt bahae gae the
ek to gard-e-safar aur siyah raat ka rang
raste bhul gae jo bhi dikhae gae the
dastan kahte hain sarhad ke sabhi buDhe shajar
wo jo ajdad ke hathon se lagae gae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.