tishna-lab hun udas baiTha hun
tishna-lab huuñ udaas baiThā huuñ
maiñ samundar ke paas baiThā huuñ
vo nigāheñ churā.e baiThe haiñ
maiñ sarāpā sipās baiThā huuñ
maiñ bhī kyā qātiloñ kī bastī meñ
le ke jiine kī aas baiThā huuñ
aap kyā zarf āzmāte haiñ
pī ke barsoñ kī pyaas baiThā huuñ
ik mukammal kitāb thā pahle
ho ke ab iqtibās baiThā huuñ
āḳhirī din haiñ umr ke 'ejāz'
qabr ke ās-pās baiThā huuñ
tishna-lab hun udas baiTha hun
main samundar ke pas baiTha hun
wo nigahen churae baiThe hain
main sarapa sipas baiTha hun
main bhi kya qatilon ki basti mein
le ke jine ki aas baiTha hun
aap kya zarf aazmate hain
pi ke barson ki pyas baiTha hun
ek mukammal kitab tha pahle
ho ke ab iqtibas baiTha hun
aaKHiri din hain umr ke 'ejaz'
qabr ke aas-pas baiTha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.