tishna-labi baDhaegi mauj-e-sarab dekhna
tishna-labī baḌhā.egī mauj-e-sarāb dekhnā
chhoḌ de jāgtī huī āñkhoñ se ḳhvāb dekhnā
sahrā bhī hai sulag rahā chashm bhī haiñ ubal rahe
ḳhushk laboñ ko dekhnā chashm-e-pur-āb dekhnā
apne karam mirī vafā donoñ ko joḌ to zarā
merī taraf nikaltā hai kitnā hisāb dekhnā
yuuñ hī agar zamīn par zulm ziyādtī rahī
utregā āsmāñ se phir koī azaab dekhnā
tāqat-o-iḳhtiyār kyā saañs kā e.atibār kyā
paanī pe 'vāsiq' ek baar raqs-e-habāb dekhnā
tishna-labi baDhaegi mauj-e-sarab dekhna
chhoD de jagti hui aankhon se KHwab dekhna
sahra bhi hai sulag raha chashm bhi hain ubal rahe
KHushk labon ko dekhna chashm-e-pur-ab dekhna
apne karam meri wafa donon ko joD to zara
meri taraf nikalta hai kitna hisab dekhna
yun hi agar zamin par zulm ziyaadti rahi
utrega aasman se phir koi azab dekhna
taqat-o-iKHtiyar kya sans ka eatibar kya
pani pe 'wasiq' ek bar raqs-e-habab dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.