tishna-labon ki nazr ko saughat chahiye
tishna-laboñ kī nazr ko sauġhāt chāhiye
tere nisār thoḌī sī barsāt chāhiye
itnā bhī mai-kade pe na pahre biThā.iye
kuchh to ḳhayāl-e-ahl-e-ḳharābāt chāhiye
aapas kī guftugū meñ bhī kaTne lagī zabāñ
ab dostoñ se tark-e-mulāqāt chāhiye
muddat se chashm-o-dil meñ koī rābta nahīñ
kyā aur tujh ko gardish-e-hālāt chāhiye
kis kis ḳhudā ke sāmne sajda nahīñ kiyā
kuchh sharm kuchh to ābrū-e-zāt chāhiye
zikr-e-parī-vashāñ ke zamāne guzar ga.e
ab to ġhazal meñ hamd-o-munājāt chāhiye
insāf kī ye aañkh ye sūraj kī raushnī
yārab yahī hai din to mujhe raat chāhiye
ham chāhte haiñ dahr meñ jiine kā haq mile
un ko subūt-e-farruḳhī-e-zāt chāhiye
kuchh bhī ho maslahat kā taqāzā magar nadīm
jo dil meñ ho zabāñ pe vahī baat chāhiye
ai zulf-e-nāz koī havā-e-fusūñ kā daam
ahl-e-nazar ko sair-e-tilismāt chāhiye
tāb-e-kamand-e-kākul-e-ḳham-dār hoshiyār
khul kar na har kisī pe 'ināyāt chāhiye
'tāhir' jazā-e-himmat-e-ālī hai zulf-e-yār
zulfoñ se khelne ke liye haat chāhiye
tishna-labon ki nazr ko saughat chahiye
tere nisar thoDi si barsat chahiye
itna bhi mai-kade pe na pahre biThaiye
kuchh to KHayal-e-ahl-e-KHarabaat chahiye
aapas ki guftugu mein bhi kaTne lagi zaban
ab doston se tark-e-mulaqat chahiye
muddat se chashm-o-dil mein koi rabta nahin
kya aur tujh ko gardish-e-haalat chahiye
kis kis KHuda ke samne sajda nahin kiya
kuchh sharm kuchh to aabru-e-zat chahiye
zikr-e-pari-washan ke zamane guzar gae
ab to ghazal mein hamd-o-munajat chahiye
insaf ki ye aankh ye suraj ki raushni
yarab yahi hai din to mujhe raat chahiye
hum chahte hain dahr mein jine ka haq mile
un ko subut-e-farruKHi-e-zat chahiye
kuchh bhi ho maslahat ka taqaza magar nadim
jo dil mein ho zaban pe wahi baat chahiye
ai zulf-e-naz koi hawa-e-fusun ka dam
ahl-e-nazar ko sair-e-tilismat chahiye
tab-e-kamand-e-kakul-e-KHam-dar hoshiyar
khul kar na har kisi pe 'inayat chahiye
'tahir' jaza-e-himmat-e-ali hai zulf-e-yar
zulfon se khelne ke liye hat chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.