tishnagi baqi rahe diwangi baqi rahe
tishnagÄ« baaqÄ« rahe dÄ«vÄngÄ« baaqÄ« rahe
ranj-o-Ä¡ham hai is liye tÄ-ki áž³hushÄ« baaqÄ« rahe
zaáž³hm agar bhar jÄ.egÄ to bhuul jÄ.ūñgÄ use
ye duÄ do zaáž³hm-e-dil kÄ« tÄzgÄ« baaqÄ« rahe
qurbateñ bhÄ« dÅ«riyoñ kÄ ban ga.iiñ aksar sabab
is liye behtar hai un kī be-ruឳhī baaqī rahe
Thahr jaanÄ maut hai aur chalte rahnÄ zindagÄ«
zindagÄ« baaqÄ« rahe ÄvÄrgÄ« baaqÄ« rahe
raushnÄ« hogÄ« to kitne chehre hoñge be-naqÄb
kah do ye 'afroz' se ki tīrgī baaqī rahe
tishnagi baqi rahe diwangi baqi rahe
ranj-o-gham hai is liye ta-ki KHushi baqi rahe
zaKHm agar bhar jaega to bhul jaunga use
ye dua do zaKHm-e-dil ki tazgi baqi rahe
qurbaten bhi duriyon ka ban gain aksar sabab
is liye behtar hai un ki be-ruKHi baqi rahe
Thahr jaana maut hai aur chalte rahna zindagi
zindagi baqi rahe aawargi baqi rahe
raushni hogi to kitne chehre honge be-naqab
kah do ye 'afroz' se ki tirgi baqi rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.