tishnagi dard thakan soz-e-jigar rakhta hai
tishnagi dard thakan soz-e-jigar rakhta hai
Mehdi Baqar Khan Meraj
MORE BYMehdi Baqar Khan Meraj
tishnagī dard thakan soz-e-jigar rakhtā hai
ik musāfir ka.ī sauġhāt-e-safar rakhtā hai
ye 'ajab daur-e-taraqqī hai ki insāñ har pal
ḳhud se ġhāfil hai magar sab kī ḳhabar rakhtā hai
vo jo nā-vāqif ādāb-e-vafā hai vo bhī
jazb-e-ishq tah-e-qalb-o-jigar rakhtā hai
kaam letā hai jo hālāt kī nākāmī se
apne dāman meñ vahī fat.h-o-zafar rakhtā hai
mere mālik mujhe darkār nahīñ tūl-e-hayāt
'umr de us ko jo jiine kā hunar rakhtā hai
jaane kyā kah diyā us ne dam-e-ruḳhsat mujh se
us kā har lafz qayāmat kā asar rakhtā hai
tere ahbāb se achchhā tirā dushman 'merāj'
tere baare meñ jo pal pal kī ḳhabar rakhtā hai
tishnagi dard thakan soz-e-jigar rakhta hai
ek musafir kai saughat-e-safar rakhta hai
ye 'ajab daur-e-taraqqi hai ki insan har pal
KHud se ghafil hai magar sab ki KHabar rakhta hai
wo jo na-waqif aadab-e-wafa hai wo bhi
jazb-e-ishq tah-e-qalb-o-jigar rakhta hai
kaam leta hai jo haalat ki nakaami se
apne daman mein wahi fath-o-zafar rakhta hai
mere malik mujhe darkar nahin tul-e-hayat
'umr de us ko jo jine ka hunar rakhta hai
jaane kya kah diya us ne dam-e-ruKHsat mujh se
us ka har lafz qayamat ka asar rakhta hai
tere ahbab se achchha tera dushman 'meraj'
tere bare mein jo pal pal ki KHabar rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.