tishnagi mein koi qatra na mayassar aaya
tishnagī meñ koī qatra na mayassar aayā
mar ga.ī pyaas to hisse meñ samundar aayā
jitne ġhavvās the vo tah se na ḳhālī lauTe
jo shanāvar the unheñ haath na gauhar aayā
merī qismat meñ vahī shab vahī zulmat kā guzar
sub.h aa.ī na mirā mehr-e-munavvar aayā
sar jhukāyā to mujhe rauñd ga.ī hai duniyā
sar uThāyā to har ik samt se patthar aayā
vo to ḳhush hai ki mujhe maar girāyā us ne
mujh ko ġham hai ki mirī piiTh pe ḳhanjar aayā
chand hī roz meñ auqāt koī bhuul gayā
gaañv meñ shahr kī poshāk pahan kar aayā
so gayā thak ke har ik biin bajāne vaalā
saañp koī bhī magar bil se na bāhar aayā
pyaar kī raah meñ vo dhuup kī shiddat thī 'zafar'
maiñ bhī ġhash khā ke girā un ko bhī chakkar aayā
tishnagi mein koi qatra na mayassar aaya
mar gai pyas to hisse mein samundar aaya
jitne ghawwas the wo tah se na KHali lauTe
jo shanawar the unhen hath na gauhar aaya
meri qismat mein wahi shab wahi zulmat ka guzar
subh aai na mera mehr-e-munawwar aaya
sar jhukaya to mujhe raund gai hai duniya
sar uThaya to har ek samt se patthar aaya
wo to KHush hai ki mujhe mar giraya us ne
mujh ko gham hai ki meri piTh pe KHanjar aaya
chand hi roz mein auqat koi bhul gaya
ganw mein shahr ki poshak pahan kar aaya
so gaya thak ke har ek bin bajaane wala
sanp koi bhi magar bil se na bahar aaya
pyar ki rah mein wo dhup ki shiddat thi 'zafar'
main bhi ghash kha ke gira un ko bhi chakkar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.