titli udas bhanwra jawan ab nahin raha
titlī udaas bhañvrā javāñ ab nahīñ rahā
gulshan meñ pahle jaisā samāñ ab nahīñ rahā
parvāne jaañ luTāte the jis par tamām shab
hai bujh chukī vo sham.a dhuāñ ab nahīñ rahā
rahtā thā terī yaad meñ āñkhoñ se jo ravāñ
nā jaane kyoñ vo dariyā ravāñ ab nahīñ rahā
hai silsila azal se yahī is jahān kā
thā kal yahāñ jo aaj yahāñ ab nahīñ rahā
rahtī thī jis kī khoj meñ tū 'kokī-gul' kabhī
shāyad vo is galī meñ makāñ ab nahīñ rahā
titli udas bhanwra jawan ab nahin raha
gulshan mein pahle jaisa saman ab nahin raha
parwane jaan luTate the jis par tamam shab
hai bujh chuki wo shama dhuan ab nahin raha
rahta tha teri yaad mein aankhon se jo rawan
na jaane kyon wo dariya rawan ab nahin raha
hai silsila azal se yahi is jahan ka
tha kal yahan jo aaj yahan ab nahin raha
rahti thi jis ki khoj mein tu 'koki-gul' kabhi
shayad wo is gali mein makan ab nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.