titliyan nind ki pahle to uDai jaen
titliyāñ niiñd kī pahle to uḌaa.ī jaa.eñ
phir hameñ ḳhvāboñ kī ta.abīreñ batā.ī jaa.eñ
hausloñ kī liye patvār laḌe maujoñ se
kashtiyāñ aisī samundar meñ chalā.ī jaa.eñ
dard ne dil pe mire phir se lagā.ī dastak
us kī rāheñ sabhī phūloñ se sajā.ī jaa.eñ
likh ga.e mīr-taqī-'mīr' suḳhanvar 'ġhālib'
giit ġhazleñ vo zamāne ko sunā.ī jaa.eñ
kar de rusvā jo hameñ sab kī nazar meñ 'jyotī'
bāteñ kahtī huuñ vo ḳhud se bhī chhupā.ī jaa.eñ
titliyan nind ki pahle to uDai jaen
phir hamein KHwabon ki tabiren batai jaen
hauslon ki liye patwar laDe maujon se
kashtiyan aisi samundar mein chalai jaen
dard ne dil pe mere phir se lagai dastak
us ki rahen sabhi phulon se sajai jaen
likh gae mir-taqi-'mir' suKHanwar 'ghaalib'
git ghazlen wo zamane ko sunai jaen
kar de ruswa jo hamein sab ki nazar mein 'jyoti'
baaten kahti hun wo KHud se bhi chhupai jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.