titliyon si KHubsurat zafrani laDkiyan
titliyoñ sī ḳhūbsūrat zāfrānī laḌkiyāñ
yaad aatī haiñ vo college kī purānī laḌkiyāñ
dil ye kahtā hai ki maiñ apnī hī āñkheñ chuum luuñ
maiñ ne dekhī haiñ zamīñ par āsmānī laḌkiyāñ
kyā batā.ūñ aap ko vo kyā zamāna thā ki jab
yaad rakhtī thiiñ mirī ġhazleñ zabānī laḌkiyāñ
haa.e kyā din the ki jab bhī pyaas lagtī thī hameñ
apnī bottle se pilā detī thiiñ paanī laḌkiyāñ
kuchh dinoñ ke vāste aa kar bayāz-e-ishq meñ
chhoḌ jaatī haiñ na.ī sī ik kahānī laḌkiyāñ
ghar se nikle the ham is darja sharāfat oḌh kar
sharm se hone lagī thiiñ paanī paanī laḌkiyāñ
jab vafā kā aur hayā kā zikr aatā hai kabhī
zehn meñ aatī haiñ bas hindostānī laḌkiyāñ
kyā sabab hai aaj tak kyoñ ho akele 'altamash'
mar ga.iiñ kyā ḳhūbsūrat ḳhāndānī laḌkiyāñ
titliyon si KHubsurat zafrani laDkiyan
yaad aati hain wo college ki purani laDkiyan
dil ye kahta hai ki main apni hi aankhen chum lun
main ne dekhi hain zamin par aasmani laDkiyan
kya bataun aap ko wo kya zamana tha ki jab
yaad rakhti thin meri ghazlen zabani laDkiyan
hae kya din the ki jab bhi pyas lagti thi hamein
apni bottle se pila deti thin pani laDkiyan
kuchh dinon ke waste aa kar bayaz-e-ishq mein
chhoD jati hain nai si ek kahani laDkiyan
ghar se nikle the hum is darja sharafat oDh kar
sharm se hone lagi thin pani pani laDkiyan
jab wafa ka aur haya ka zikr aata hai kabhi
zehn mein aati hain bas hindostani laDkiyan
kya sabab hai aaj tak kyon ho akele 'altamash'
mar gain kya KHubsurat KHandani laDkiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.