to kya hua jo mere sath aaj tu nahin hai
to kyā huā jo mire saath aaj tū nahīñ hai
faqat yahī ki hai vīrānī hāv-hū nahīñ hai
tumhāre saath jo ik roz merī baat na ho
to yuuñ lage ki kisī se bhī guftugū nahīñ hai
ye zaḳhm-e-dil kī numā.ish nahīñ tamāshā-garo
dar-asl baat ye hai pairahan rafū nahīñ hai
kisī ne dekhā nahīñ ham ne jaise dekhā use
ġhalat kahā hai kisī ne vo ḳhūb-rū nahīñ hai
abhī abhī jo mujhe tujh pe pyaar aa rahā hai
ḳhudā kā shukr adā kar tū rū-ba-rū nahīñ hai
maiñ aap apnā muḳhālif maiñ aap apnā harīf
mire alāva mirā koī bhī adū nahīñ hai
to kya hua jo mere sath aaj tu nahin hai
faqat yahi ki hai virani haw-hu nahin hai
tumhaare sath jo ek roz meri baat na ho
to yun lage ki kisi se bhi guftugu nahin hai
ye zaKHm-e-dil ki numaish nahin tamasha-garo
dar-asl baat ye hai pairahan rafu nahin hai
kisi ne dekha nahin hum ne jaise dekha use
ghalat kaha hai kisi ne wo KHub-ru nahin hai
abhi abhi jo mujhe tujh pe pyar aa raha hai
KHuda ka shukr ada kar tu ru-ba-ru nahin hai
main aap apna muKHalif main aap apna harif
mere alawa mera koi bhi adu nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.