to kya ek hamare liye hi mohabbat naya tajraba hai
to kyā ik hamāre liye hī mohabbat nayā tajraba hai
jise pochhiye vo kahegā ki jī haañ baḌā tajraba hai
samajh meñ na aa.e to merī ḳhamoshī ko dil par na lenā
ki ye aql vāloñ kī dānist se māvarā tajraba hai
kaThin to bahut hai magar dil ke rishtoñ ko āzād chhoḌo
tavaqqo' na bāñdho ki ye ik aziyyat bharā tajraba hai
magar ham musir the ki ham ne kitābeñ bahut paḌh rakhī haiñ
baḌoñ ne kahā bhī ki dekho miyāñ tajraba tajraba hai
vo apnī jagah ḳhush-gumāñ thī ki daa.im hai pahlī mohabbat
maiñ apne ta.iiñ mutma.in thā ki ye dūsrā tajraba hai
kisī aur ke tajrabe se koī fā.eda kyā uThā.eñ
mohabbat meñ har tajraba hī alag tarah kā tajraba hai
to kya ek hamare liye hi mohabbat naya tajraba hai
jise pochhiye wo kahega ki ji han baDa tajraba hai
samajh mein na aae to meri KHamoshi ko dil par na lena
ki ye aql walon ki danist se mawara tajraba hai
kaThin to bahut hai magar dil ke rishton ko aazad chhoDo
tawaqqo' na bandho ki ye ek aziyyat bhara tajraba hai
magar hum musir the ki hum ne kitaben bahut paDh rakhi hain
baDon ne kaha bhi ki dekho miyan tajraba tajraba hai
wo apni jagah KHush-guman thi ki daim hai pahli mohabbat
main apne tain mutmain tha ki ye dusra tajraba hai
kisi aur ke tajrabe se koi faeda kya uThaen
mohabbat mein har tajraba hi alag tarah ka tajraba hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.