to kya ye tai hai ki ab umr bhar nahin milna
to kyā ye tai hai ki ab 'umr bhar nahīñ milnā
to phir ye 'umr bhī kyoñ tum se gar nahīñ milnā
ye kaun chupke se tanhā.iyoñ meñ kahtā hai
tire baġhair sakūñ 'umr bhar nahīñ milnā
chalo zamāne kī ḳhātir ye jabr bhī sah leñ
ki ab mile to kabhī TuuT kar nahīñ milnā
rah-e-vafā ke musāfir ko kaun samjhā.e
ki is safar meñ koī ham-safar nahīñ milnā
judā to jab bhī hue dil ko yuuñ lagā jaise
ki ab ga.e to kabhī lauT kar nahīñ milnā
to kya ye tai hai ki ab 'umr bhar nahin milna
to phir ye 'umr bhi kyon tum se gar nahin milna
ye kaun chupke se tanhaiyon mein kahta hai
tere baghair sakun 'umr bhar nahin milna
chalo zamane ki KHatir ye jabr bhi sah len
ki ab mile to kabhi TuT kar nahin milna
rah-e-wafa ke musafir ko kaun samjhae
ki is safar mein koi ham-safar nahin milna
juda to jab bhi hue dil ko yun laga jaise
ki ab gae to kabhi lauT kar nahin milna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.