to sharafaton ka maqam hai to sadaqaton ka dawam hai
to sharāfatoñ kā maqām hai to sadāqatoñ kā davām hai
jahāñ farq-e-shāh-o-gadā nahīñ tire diin kā vo nizām hai
jinheñ tire naam kī chaah hai ye zamīn un kī gavāh hai
vahīñ karbalā kā vo dasht hai vahīñ qasr-e-kūfa-o-shām hai
kahīñ kañkaroñ ko zabān de kahīñ sach ko harf-e-bayān de
dar-e-had had-e-in.ām hai sar-e-qad qad-e-ilhām hai
tirā ruup ruuh ke rū-ba-rū tirī priit parān meñ mū-ba-mū
tū kamāl-e-husn-e-kalām hai tū misāl māh-e-tamām hai
tū ne ḳhauf-e-marg miTā diyā tū ne haq ko jiinā sikhā diyā
tū hasan husain kā peshvā tū alī-e-valī kā imaam hai
tirā buad buad-e-hayāt hai terā qurb qurb-e-najāt hai
tū rutoñ kā rañg-e-ravāñ-davāñ to sumoñ kā sañg-e-mudām hai
tale teġh ke vo ibādateñ tirī shaan kī vo shahādateñ
vo hikāyateñ vo rivāyateñ tire saare ghar pe salām hai
to shu.ūr-e-zīst kā tarjumāñ kabhī juzv-e-jāñ kabhī lā-makāñ
yahāñ arsh-e-farq pe jāvedāñ tirā nuur hai tirā naam hai
sabhī harf tere harīm haiñ sabhī aks tere aziim haiñ
sabhī saj-suḳhan tire vāste sabhī baat tujh pe tamām hai
to sharafaton ka maqam hai to sadaqaton ka dawam hai
jahan farq-e-shah-o-gada nahin tere din ka wo nizam hai
jinhen tere nam ki chah hai ye zamin un ki gawah hai
wahin karbala ka wo dasht hai wahin qasr-e-kufa-o-sham hai
kahin kankaron ko zaban de kahin sach ko harf-e-bayan de
dar-e-had had-e-inam hai sar-e-qad qad-e-ilham hai
tera rup ruh ke ru-ba-ru teri prit paran mein mu-ba-mu
tu kamal-e-husn-e-kalam hai tu misal mah-e-tamam hai
tu ne KHauf-e-marg miTa diya tu ne haq ko jina sikha diya
tu hasan husain ka peshwa tu ali-e-wali ka imam hai
tera buad buad-e-hayat hai tera qurb qurb-e-najat hai
tu ruton ka rang-e-rawan-dawan to sumon ka sang-e-mudam hai
tale tegh ke wo ibaadaten teri shan ki wo shahadaten
wo hikayaten wo riwayaten tere sare ghar pe salam hai
to shuur-e-zist ka tarjuman kabhi juzw-e-jaan kabhi la-makan
yahan arsh-e-farq pe jawedan tera nur hai tera nam hai
sabhi harf tere harim hain sabhi aks tere azim hain
sabhi saj-suKHan tere waste sabhi baat tujh pe tamam hai
- Book : Ban Baas (Pg. 191)
- Author : Naasir Shahzaad
- Publication : Alhamd Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.