to wo nukta hai jise dhyan mein rakkha gaya hai
to vo nukta hai jise dhyān meñ rakkhā gayā hai
ġhair mumkin sahī imkān meñ rakkhā gayā hai
hairateñ apnī abhī ḳhatm na hone denā
rāz-e-poshīda ik elaan meñ rakkhā gayā hai
sab shanāsā haiñ tire phir bhī to terā chehra
gum-shuda logoñ kī pahchān meñ rakkhā gayā hai
tai shuda hai yahāñ anjām azal se sab kā
faisla vaqt ke juzdān meñ rakkhā gayā hai
is qadar bojh ki shal ho ga.e baazū 'nusrat'
jaane kyā kyā mire sāmān meñ rakkhā gayā hai
to wo nukta hai jise dhyan mein rakkha gaya hai
ghair mumkin sahi imkan mein rakkha gaya hai
hairaten apni abhi KHatm na hone dena
raaz-e-poshida ek elan mein rakkha gaya hai
sab shanasa hain tere phir bhi to tera chehra
gum-shuda logon ki pahchan mein rakkha gaya hai
tai shuda hai yahan anjam azal se sab ka
faisla waqt ke juzdan mein rakkha gaya hai
is qadar bojh ki shal ho gae bazu 'nusrat'
jaane kya kya mere saman mein rakkha gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.