toD kar hum be-KHudi ki had KHudi tak aa gae
toḌ kar ham be-ḳhudī kī had ḳhudī tak aa ga.e
maut se karke baġhāvat zindagī tak aa ga.e
apnī manzil aap hī ḳhud aa rahe haiñ ab nazar
ho na ho ham aaj apnī raushnī tak aa ga.e
ai ġham-e-ālam tirī is dil-navāzī ke nisār
tere nazdīk aa ke jaise har ḳhushī tak aa ga.e
kyoñ fazāoñ meñ nazar aate haiñ jalvoñ ke ġhubār
kyā mah-o-ḳhurshīd gird-e-ādamī tak aa ga.e
bujh rahī haiñ jin kī ḳhātir ishrateñ kaunain kī
aise ġham bhī kuchh hamārī zindagī tak aa ga.e
ab mohabbat kā har ik ruḳh aa.ina ban jā.egā
aaj ham un kī nigāh-e-be-ruḳhī tak aa ga.e
fitratan ab ho chalā insān fitrat-āshnā
ḳhud gumāñ saare yaqīñ kī raushnī tak aa ga.e
shā.irī kī raah meñ karte hue raushan charāġh
ai 'shifā' ham bhī maqām-e-zindagī tak aa ga.e
toD kar hum be-KHudi ki had KHudi tak aa gae
maut se karke baghawat zindagi tak aa gae
apni manzil aap hi KHud aa rahe hain ab nazar
ho na ho hum aaj apni raushni tak aa gae
ai gham-e-alam teri is dil-nawazi ke nisar
tere nazdik aa ke jaise har KHushi tak aa gae
kyon fazaon mein nazar aate hain jalwon ke ghubar
kya mah-o-KHurshid gird-e-adami tak aa gae
bujh rahi hain jin ki KHatir ishraten kaunain ki
aise gham bhi kuchh hamari zindagi tak aa gae
ab mohabbat ka har ek ruKH aaina ban jaega
aaj hum un ki nigah-e-be-ruKHi tak aa gae
fitratan ab ho chala insan fitrat-ashna
KHud guman sare yaqin ki raushni tak aa gae
shairi ki rah mein karte hue raushan charagh
ai 'shifa' hum bhi maqam-e-zindagi tak aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.