toDa jo maine zabt kaha hae al-firaq
toḌā jo maiñ ne zabt kahā haa.e al-firāq
phir har taraf se shor uThā haa.e al-firāq
shab le rahā thā āḳhirī sāñseñ marīz-e-hijr
bolā tabīb nabz dabā haa.e al-firāq
vahshat hī rah ga.ī mire kamre meñ tere baa'd
do pal ko bhī sukūñ na milā haa.e al-firāq
maazī ke kuchh nuqūsh ḳhayāloñ meñ aa ke ab
karte haiñ ik buland sadā haa.e al-firāq
charchā hai āj-kal ki kisī qabr par koī
kahte hue divāna girā haa.e al-firāq
paḌhte hue maiñ karbalā royā to aañkh se
furqat meñ aañsū kahne lagā haa.e al-firāq
ham aise log apnī ibādat meñ haiñ magan
'alvī' hameñ hai vird milā haa.e al-firāq
toDa jo main ne zabt kaha hae al-firaq
phir har taraf se shor uTha hae al-firaq
shab le raha tha aaKHiri sansen mariz-e-hijr
bola tabib nabz daba hae al-firaq
wahshat hi rah gai mere kamre mein tere ba'd
do pal ko bhi sukun na mila hae al-firaq
mazi ke kuchh nuqush KHayalon mein aa ke ab
karte hain ek buland sada hae al-firaq
charcha hai aaj-kal ki kisi qabr par koi
kahte hue diwana gira hae al-firaq
paDhte hue main karbala roya to aankh se
furqat mein aansu kahne laga hae al-firaq
hum aise log apni ibaadat mein hain magan
'alwi' hamein hai wird mila hae al-firaq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.