toDna chahte the pe TuTa nahin
toḌnā chāhte the pe TuuTā nahīñ
dil mirā koī miTTī kā maTkā nahīñ
shahr-e-dil meñ mire tazkire haiñ tire
tū hasīñ mah-jabīñ koī tujh sā nahīñ
sab havas ke pujārī haiñ chāroñ taraf
koī majnūñ nahīñ koī lailā nahīñ
vo pahan kar jise beTiyāñ ḳhush na hoñ
haañ kafan hai vo shādī kā joḌā nahīñ
zahr-e-shīrīñ hai maġhrib kī tahzīb ye
bhuul kar us ke nazdīk jaanā nahīñ
lutf-e-manzil 'hayāt' us se pūchho zarā
ishq ke rāste meñ jo bhaTkā nahīñ
toDna chahte the pe TuTa nahin
dil mera koi miTTi ka maTka nahin
shahr-e-dil mein mere tazkire hain tere
tu hasin mah-jabin koi tujh sa nahin
sab hawas ke pujari hain chaaron taraf
koi majnun nahin koi laila nahin
wo pahan kar jise beTiyan KHush na hon
han kafan hai wo shadi ka joDa nahin
zahr-e-shirin hai maghrib ki tahzib ye
bhul kar us ke nazdik jaana nahin
lutf-e-manzil 'hayat' us se puchho zara
ishq ke raste mein jo bhaTka nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.