toDna thin tumko qasmen khain kyon
toḌnā thiiñ tum ko qasmeñ khā.īñ kyoñ
dil pe ab tak ġham kī hai parchhā.īñ kyoñ
mere ḳhvāboñ se bhī vo laḌne lagā
pūchhtā hai niiñd meñ muskā.īñ kyoñ
jab havā ke sang uḌnā thā unheñ
āsmāñ par badliyāñ phir chhā.īñ kyoñ
ik tarah kī soch rakhte haiñ ye sab
dūsre kī baat meñ tum aa.iiñ kyoñ
sub.h-dam dil ko lagāyā daav par
Dhal ga.ī ab shaam to pachhtā.īñ kyoñ
toDna thin tum ko qasmen khain kyon
dil pe ab tak gham ki hai parchhain kyon
mere KHwabon se bhi wo laDne laga
puchhta hai nind mein muskain kyon
jab hawa ke sang uDna tha unhen
aasman par badliyan phir chhain kyon
ek tarah ki soch rakhte hain ye sab
dusre ki baat mein tum aain kyon
subh-dam dil ko lagaya daw par
Dhal gai ab sham to pachhtain kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.