tohmat-e-sair-e-chaman hum pe lagi kya na hua
tohmat-e-sair-e-chaman ham pe lagī kyā na huā
tab-e-āzād meñ zanjīr paḌī kyā na huā
vo alam-dost the ham jin kī har ik mausam meñ
dekhte dekhte ḳhushiyoñ se Thanī kyā na huā
ḳhvāb to ḳhvāb rahe niiñd bhī aane se rahī
gard-e-bedārī-e-shab muñh pe malī kyā na huā
sīna-e-barg-e-gul-e-tar pe nazar thī apnī
zindagī aag ke sāñche meñ Dhalī kyā na huā
ham to kyā chiiz the is shahr ke hañgāmoñ meñ
ahl-e-dānish kī kahāñ pesh chalī kyā na huā
tohmat-e-sair-e-chaman hum pe lagi kya na hua
tab-e-azad mein zanjir paDi kya na hua
wo alam-dost the hum jin ki har ek mausam mein
dekhte dekhte KHushiyon se Thani kya na hua
KHwab to KHwab rahe nind bhi aane se rahi
gard-e-bedari-e-shab munh pe mali kya na hua
sina-e-barg-e-gul-e-tar pe nazar thi apni
zindagi aag ke sanche mein Dhali kya na hua
hum to kya chiz the is shahr ke hangamon mein
ahl-e-danish ki kahan pesh chali kya na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.