sab pe tu mehrban hai pyare
sab pe tū mehrbān hai pyāre
kuchh hamārā bhī dhyān hai pyāre
aa ki tujh bin bahut dinoñ se ye dil
ek suunā makān hai pyāre
tū jahāñ naaz se qadam rakh de
vo zamīn āsmān hai pyāre
muḳhtasar hai ye shauq kī rūdād
har nafas dāstān hai pyāre
apne jī meñ zarā to kar insāf
kab se nā-mehrbān hai pyāre
sabr TuuTe hue diloñ kā na le
tū yūñhī dhaan paan hai pyāre
ham se jo ho sakā so kar guzre
ab tirā imtihān hai pyāre
mujh meñ tujh meñ to koī farq nahīñ
ishq kyuuñ darmiyān hai pyāre
kyā kahe hāl-e-dil ġharīb 'jigar'
TuuTī phūTī zabān hai pyāre
sab pe tu mehrban hai pyare
kuchh hamara bhi dhyan hai pyare
aa ki tujh bin bahut dinon se ye dil
ek suna makan hai pyare
tu jahan naz se qadam rakh de
wo zamin aasman hai pyare
muKHtasar hai ye shauq ki rudad
har nafas dastan hai pyare
apne ji mein zara to kar insaf
kab se na-mehrban hai pyare
sabr TuTe hue dilon ka na le
tu yunhi dhan pan hai pyare
hum se jo ho saka so kar guzre
ab tera imtihan hai pyare
mujh mein tujh mein to koi farq nahin
ishq kyun darmiyan hai pyare
kya kahe haal-e-dil gharib 'jigar'
TuTi phuTi zaban hai pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.