tujh bin rah-e-hayat mein lutf-e-safar kahan
tujh bin rah-e-hayāt meñ lutf-e-safar kahāñ
taskīn-e-qalb-o-rūh sukūn-e-jigar kahāñ
tūfān-e-barq-o-bād meñ ye jaa.eñ par kahāñ
ujḌe hue chaman ke parindoñ kā ghar kahāñ
us kī nigāh-e-nāz ne be-ḳhud banā diyā
ḳhud mujh ko apne-āp kī ab hai ḳhabar kahāñ
jaañ se azīz-tar hai unheñ gulsitāñ kī ḳhaak
jaa.eñ chaman ko ahl-e-chaman chhoḌ kar kahāñ
bas ḳhūbī-e-nasīb ne tujh se milā diyā
varna kahāñ pe tū hai tirī rahguzar kahāñ
tujh bin rah-e-hayat mein lutf-e-safar kahan
taskin-e-qalb-o-ruh sukun-e-jigar kahan
tufan-e-barq-o-baad mein ye jaen par kahan
ujDe hue chaman ke parindon ka ghar kahan
us ki nigah-e-naz ne be-KHud bana diya
KHud mujh ko apne-ap ki ab hai KHabar kahan
jaan se aziz-tar hai unhen gulsitan ki KHak
jaen chaman ko ahl-e-chaman chhoD kar kahan
bas KHubi-e-nasib ne tujh se mila diya
warna kahan pe tu hai teri rahguzar kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.