tujh but ka hun main barhaman kartar ki saugand hai
tujh but ka hun main barhaman kartar ki saugand hai
Obaidullah Khan Mubtala
MORE BYObaidullah Khan Mubtala
tujh but kā huuñ maiñ barhaman kartār kī saugand hai
japtā huuñ maalā yaar kī zunnār kī saugand hai
bāñkā husn sun kar tirā ḳhūbāñ ne khāyā pech-o-tāb
ai nuk-palak tujh chehra-e-bal-dār kī saugand hai
ḳhūbāñ kī ḳhūbī hai ḳhizāñ terī bahār aañge sadā
'āshiq kuuñ ai gulfām tujh ruḳhsār kī saugand hai
rakhtā huuñ tujh suuñ chashm ye dil ai mah-e-nūr-e-nazar
aa ke ḳhabar ik roz mujh bīmār kī saugand hai
dariyā-e-vahdat meñ tire ai gauhar-e-yaktā-e-husn
paayā nahīñ saanī tirā sansār kī saugand hai
bin haar aa.e gul-ruḳhāñ tere gale paḌne katīñ
jiitā to baare husn ke mizmār kī saugand hai
sharmindagī suuñ jā chhupāyā quvvat apnī kaan meñ
sun kar dur-afsānī tirī guftār kī saugand hai
shamshīr-e-abrū bāñdh kar aayā sipāhī nain kā
do Tok dil haiñ āshiqāñ talvār kī saugand hai
sehn-e-chaman meñ gul-badan tan-zeb kiiñ tujh jaama kuuñ
nain sukh hai terā dekhnā dīdār kī saugand hai
tujh hijr meñ dil kī fuġhāñ suuñ aañkh na.iiñ lagtī kabhī
kamḳhvāb hai maḳhmal mirā shab-e-tār kī saugand hai
'ushshāq kuuñ ruḳhsat kiyā de paañ ḳhirad kā yaar ne
rotā hai nis din 'mubtalā' ghar-bār kī saugand hai
tujh but ka hun main barhaman kartar ki saugand hai
japta hun mala yar ki zunnar ki saugand hai
banka husn sun kar tera KHuban ne khaya pech-o-tab
ai nuk-palak tujh chehra-e-bal-dar ki saugand hai
KHuban ki KHubi hai KHizan teri bahaar aange sada
'ashiq kun ai gulfam tujh ruKHsar ki saugand hai
rakhta hun tujh sun chashm ye dil ai mah-e-nur-e-nazar
aa ke KHabar ek roz mujh bimar ki saugand hai
dariya-e-wahdat mein tere ai gauhar-e-yakta-e-husn
paya nahin sani tera sansar ki saugand hai
bin haar aae gul-ruKHan tere gale paDne katin
jita to bare husn ke mizmar ki saugand hai
sharmindagi sun ja chhupaya quwwat apni kan mein
sun kar dur-afsani teri guftar ki saugand hai
shamshir-e-abru bandh kar aaya sipahi nain ka
do Tok dil hain aashiqan talwar ki saugand hai
sehn-e-chaman mein gul-badan tan-zeb kin tujh jama kun
nain sukh hai tera dekhna didar ki saugand hai
tujh hijr mein dil ki fughan sun aankh nain lagti kabhi
kamKHwab hai maKHmal mera shab-e-tar ki saugand hai
'ushshaq kun ruKHsat kiya de pan KHirad ka yar ne
rota hai nis din 'mubtala' ghar-bar ki saugand hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.