tujh chehra-e-gul-rang nin KHuban ko gul-guni diya
tujh chehra-e-gul-rang nin KHuban ko gul-guni diya
Obaidullah Khan Mubtala
MORE BYObaidullah Khan Mubtala
tujh chehra-e-gul-rañg niiñ ḳhūbāñ ko gul-gūnī diyā
tere lab yāqūt ne mujh dil kuuñ pur-ḳhūnī diyā
dīvāna ho ghar chhoḌ kar jaatā rahā sahrā taraf
ai rashk-e-lailā tū ne jab 'āshiq ko majnūnī diyā
mazmūn 'aalī bāñdhtā huuñ tere qad kī vasf meñ
mujh tab.a kuuñ sohbat ne terī jab se mauzūnī diyā
barjā hai gar maġhrūr huuñ apne dilāñ meñ shā.irāñ
nirḳh-e-suḳhan kuuñ tujh suḳhan-fahmī ne afzūnī diyā
farhat kī sūrat niiñ nazar aa.ī mujhe ai nūr-e-chashm
terī judā.ī meñ magar 'ālam ko mahzūnī diyā
dīdār kī hai ishtihā saaf ai tabīb-e-mehrbāñ
tujh shauq ne goyā mujhe ma.ajūn-zar.ūnī diyā
kahte haiñ saare barhaman mujh 'mubtalā' suuñ ai sanam
zunnār-e-gesū khol tuuñ har dil kuuñ baftūnī diyā
tujh chehra-e-gul-rang nin KHuban ko gul-guni diya
tere lab yaqut ne mujh dil kun pur-KHuni diya
diwana ho ghar chhoD kar jata raha sahra taraf
ai rashk-e-laila tu ne jab 'ashiq ko majnuni diya
mazmun 'ali bandhta hun tere qad ki wasf mein
mujh taba kun sohbat ne teri jab se mauzuni diya
barja hai gar maghrur hun apne dilan mein shairan
nirKH-e-suKHan kun tujh suKHan-fahmi ne afzuni diya
farhat ki surat nin nazar aai mujhe ai nur-e-chashm
teri judai mein magar 'alam ko mahzuni diya
didar ki hai ishtiha saf ai tabib-e-mehrban
tujh shauq ne goya mujhe majun-zaruni diya
kahte hain sare barhaman mujh 'mubtala' sun ai sanam
zunnar-e-gesu khol tun har dil kun baftuni diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.