tujhko aana paDa yahin to phir
tujh ko aanā paḌā yahīñ to phir
na milā ham sā gar hasīñ to phir
kaun terā ḳhayāl rakkhegā
ba.ad mere huā hazīñ to phir
jis pe tujh ko ġhurūr hai vo dil
kho gayā gar yahīñ kahīñ to phir
aa nahīñ saktā koī tujh ko yaad
TuuT jaa.e tirā yaqīñ to phir
dil kushāda-dilī pe nāzāñ hai
na huā vo agar makīñ to phir
sochtī huuñ ki kis liye maiñ bhī
jab ye tai hai ki tū nahīñ to phir
tujh ko aana paDa yahin to phir
na mila hum sa gar hasin to phir
kaun tera KHayal rakkhega
baad mere hua hazin to phir
jis pe tujh ko ghurur hai wo dil
kho gaya gar yahin kahin to phir
aa nahin sakta koi tujh ko yaad
TuT jae tera yaqin to phir
dil kushada-dili pe nazan hai
na hua wo agar makin to phir
sochti hun ki kis liye main bhi
jab ye tai hai ki tu nahin to phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.