tujhko andaze nahin rah ki dushwari ke
tujh ko andāze nahīñ raah kī dushvārī ke
ham to qaa.il haiñ tirī qāfila-sālārī ke
ye tire saath meñ rone se khulā hai mujh par
haiñ tirī aañkh meñ sab ashk adākārī ke
bevafā.ī bhī agar kī to batāyā us ko
maiñ ne ādāb nibhā.e haiñ vafādārī ke
jashn maiñ ne bhī manāyā thā shajar kaTne kā
us ne vo fā.ede ginvā.e mujhe aarī ke
dasht kā dasht jin āñkhoñ pe luTā baiThā thā
ham bhī pīchhe the usī āhū-e-tātārī ke
ab mujhe yaad nahīñ pairahan-e-ishq-o-vafā
haañ magar naqsh tire vasl kī gul-kārī ke
tujh ko andaze nahin rah ki dushwari ke
hum to qail hain teri qafila-salari ke
ye tere sath mein rone se khula hai mujh par
hain teri aankh mein sab ashk adakari ke
bewafai bhi agar ki to bataya us ko
main ne aadab nibhae hain wafadari ke
jashn main ne bhi manaya tha shajar kaTne ka
us ne wo faede ginwae mujhe aari ke
dasht ka dasht jin aankhon pe luTa baiTha tha
hum bhi pichhe the usi aahu-e-tatari ke
ab mujhe yaad nahin pairahan-e-ishq-o-wafa
han magar naqsh tere wasl ki gul-kari ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.